Wednesday, November 9, 2011

Me against Myself



Kaise bataye ki kya

 hai ye zindagi...???




kese bataye ki kya hai zindagi ??


Barish ki pehli bund ka girna
aur tera yun muskurana , wo lamha ,wohi hai zindagi !

Shama aur Patange ki  takrar me 
Shama ka yun jalkar rona , wohi hai zindagi !

Sagar ko Chand pe roz marta hua dekh Chand se kuchh chahat si ho jana
par Chand  to Chandani ka hi hona, wohi hai zindagi !

Pagal Pawan ke bharose Kashti ko chhod dena
aur Khud ko bich samandar pana, wohi hai zindagi !

Raat k sannate me, Dard ki aahate sunate huye bhi,
Taaron ki dori se khushi ke sapne bunana, wohi hai  zindagi !





No comments: